Monday, February 21, 2011

ye jo shyaahh harpo main.....

ye jo shyaahh harpo main tera nam likha hai

unglia phira kar espe tujhe mahsus kiya hai

honto hi honto main pukara hazar bar tujhe

nahi lete ab nam tera dil ko dhoka yun diya hai

ye kessi hasrat lekar aaj tere dar se uttha hun

mar kar bhi yanhi pahunchu jina bhi yanhi hai

mangte ho dil mera par ye bewajud ab

jitne hisse jod loge utna hi bas tumhara hai

ruk jaya karta hun sizzdee ko,ho koi ebadatkhana

anhad naad kaho ya baang-e-aasmani kya farq padta hai

parul singh

Aap ab had-e-tagaaful...

Aap ab had-e- tagaaful bhi kare to jra

Aesa bhi kya jo gir ke sambhal na saku

Ak arj maan meri ja chor mujhe virane main

Lankh chahu tujhe vapas bula na saku

Bebasi hai bas teri jhuki nazro ko diya kaul

Varna kya cheej hai jo chahun aur pa na saku

Teri aur meri mohabbat main farq etna hai dost

Tu kabhi kah na sake,aur mai chupa na saku

Es qadar uske entezzar main tanha pasand ho gyi hun suno

Ab vo aaye bhi to jasn-e-vasal mna na saku

Mujhe majboor to bahut teri tanjkashi ne kiya

Par tera ahetram hi etna hai ki junba hilla na saku

parul singh