Saturday, May 15, 2010

mujhe ak bar mere nam se pukaro.....

patthar ho chuki hun mai ak bar pukaro
mujhe ak bar mere nam se pukaro
tumne kabhi kisi ajnabii ko bhi to
mulaqat main pahli nam se pukara hoga

mujhe ak bar mere nam se pukaro

shayad dhulak jayee koi aasu.N gar bacha ho
en pathrayi aankho ke daricho mai.N
koi ahasas jag jaye shayad,
kyunki ab gam ka ahasas nahi hota,
khushi ka bhi nahi hota,
pas se gujarne wali shondhi hawa
ka bhi ahasas nahi hota
sawan main padne wali kanch sii
pahlii bund ka bhi ahasas nahi hota,
aur us aakhiri ka bhi nahi hota,
jo barish ke bad kisi patti se tapaktii hai

mujhe ak bar mere nam se pukaro

patthar ho chuki hun mai
par sunti to hun
vo jo tum kahoge mujhe
uske liye tarasti to hun
talkhiyo ne jindagi ki mana
chhin lii meri juban,
par ak bar jo aaye,
naam mera teri jubaa par
mai phir se bol to sakti hun

mujhe ak bar mere nam se pukaro

ak bar chu lo mujhe us larjish se
kee bah nikle aansuo main naumeedii meri,
patthar ke butt ko ensaa
banana tumhe aata to hai,
tumhe aata to hai en
beparwah julfo ko sawarna
bahte ashko ko pochna tumhe aata to hai
apne pyar bhare hatho se mujhe
girte thamana tumhe aata to hai

pathar ho chuki hun mai
mujhe ak bar mere nam se pukaro

tum jo pukaroge mujhe apna kah kar
mai phir se jii to utthungi,
mujhe meri kasam mai,
koi sawal nahi poochungi
nahi poochungi ke palat kar
dekha nahi kyu mujhe barso se,
nahi poocchungi kee ab kanha milenge
vo sapne humare the jo kabhi,
nahi poochungi kee kyu har rat jgii hun
mai tere entzaar main
nahi poochungi sath thi to par
kabhi tujh main shamil kyu nahi thi main
mai bas khil utthungi,
mai bas rote rote has dungi
mai phir se bol utthungi,
mai bas peeche peeche tere
najar jhukaye chal dungi

mujhe ak bar mere nam se pukaro

patthar ho chuki hun mai ak bar pukaro
mujhe ak bar mere nam se pukaro
tumne kabhi kisi ajnabii ko bhi to
mulaqat main pahli nam se pukara hoga

mujhe ak bar mere nam se pukaro..................













4 comments:

  1. बस कई बार ऐसी आवाज़ों को सुनने के लिए वर्षों गुजारने पड़ते है, कि शायद वो पुकार लें, समझें हृदय की बात को..
    अच्छी कोशिश की है आपने यूँ ही अपनी भावनाओं को आकार देती रहें।

    ReplyDelete
  2. ohhh.. thx..aapne pada..shukriya bahut bahut

    ReplyDelete
  3. Parul Ji
    Namaskaar

    Mere blog par aane aur use pasand karne ka tahe dil se shukriya. Mera blog hindi font men hai aur ise roman men dekhna abhi sambhav nahin hai..lekin ek sofware aata hai jiske upyog se ise roman men bhi dekha ja sakta hai, maine abhi wo software apne blog par nahin lagaya hai lekin ab kahin se dhoondh kar lga deta hoon.

    Aap ko hindi font men padhne men koi samsya aa rahi hai kya? batayen.

    Ek swaal poochhna hai aapse...bura n maanen please...jab aap khud itna achcha likh leti hain to fir aapne apne blog par sirf ek hi rachna lga kar kyun chhod diya...aapko likhte rahna chahiye...apni pratibha ko yun naa chhupayen...likhen aur apne blog par lgaayen us se hum jaise pathkon ka bhla hi hoga.

    Neeraj

    ReplyDelete
  4. Prul Ji

    Meri gazal psand karne ka shukriya...Main shayar nahin hoon bas yun hi chhoti moti tukbandi kar leta hoon...

    Aap ki doosri rachna is blog par kab post ho rahi hai batayen.

    Neeraj

    ReplyDelete