Monday, February 21, 2011

Aap ab had-e-tagaaful...

Aap ab had-e- tagaaful bhi kare to jra

Aesa bhi kya jo gir ke sambhal na saku

Ak arj maan meri ja chor mujhe virane main

Lankh chahu tujhe vapas bula na saku

Bebasi hai bas teri jhuki nazro ko diya kaul

Varna kya cheej hai jo chahun aur pa na saku

Teri aur meri mohabbat main farq etna hai dost

Tu kabhi kah na sake,aur mai chupa na saku

Es qadar uske entezzar main tanha pasand ho gyi hun suno

Ab vo aaye bhi to jasn-e-vasal mna na saku

Mujhe majboor to bahut teri tanjkashi ne kiya

Par tera ahetram hi etna hai ki junba hilla na saku

parul singh

No comments:

Post a Comment